Wednesday, June 30, 2010

main mohabbat aur tum

Aaj youn mosam ne di jashan-e-mohabbat ki khaber
Phoot phoot k ronay lagay hain …main mohabbat aur tum
.
Hum ne joon hi ker liya mehsoos manzil hai qareeb
Raastay khonay lagay hain ..main mohabbat aur tum
.
Chaand ki kirnon ne hum ko iss terha bosa diya
Devta hone lagay hain..main mohabbat aur tum
.
Aaj phir mehroomiyon ki daastanain oarh ker
Khwab main sonay lagay hain … main mohabbat aur tum
.
Kho gay awaz bhi , andaaz bhi , alfaaz bhi
Khamoshi dhoondne lagay hain .. main mohabbat aur tum 

No comments:

Post a Comment