ye fareeza bhi muhabat main ada hona tha
hum ko ik Roz behar taor juda hona tha
.
itni muhlat hi na di waqt nay werna hum ko
tujh pay Sao Bar Rukh-e-yar fida hona tha
.
uskay angan main baharoon nay utarna tha mager
hum ko ujray huway gumbad ki Sada hona tha
.
esliye toot kay chaha tha bu’t-e-kafir ko
uskay hontoon pay humein harf-e-dua hona tha
.
hum parastish main ager had say barhay thay Amjad
us ko haq tha, usay pather ka khuda hona tha
Wednesday, June 30, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)



No comments:
Post a Comment